Skip to main content

HINDI STORY (KHANI)- JAB BHGWAN BITDHAL (LORD BISHNU) NAY APNAY SIIR PAR DHARAN KIYA SIVLING







PANDHAR PUR (MAHARASTRA) may NARHARI sunar (sonay ka aabusan bananay wala) rahtay 

thhai. NARHARI bhagwan siv  kay param bhakt thai. Bhagwan Siv kay bhakti may iitna magan 

rahtay thhai kee PANDHARPUR may rahkar bhi , yah waha kay parside Bhagwan Bitdhal kay 

mandir may unka darsan karnay kabhi nahi gayay. Na unka kabhi janay ka irada tha.

Narhari sunari ka kam kartay thaiy, isliyay jab sonay kay aabushan banatay, tow  us samay

bhiee Bhagwan Siv ka naam sadawa inkay hodhow par rahta thaa. Isliyay inkay banay 


aabusan may bhi divya sondarya jalknay lagta thha.

PANDHARPUR may hi rahta thha ek Sahukar, jo kee Bhagwan Bitdhal ka barra bhakt thaa.

Uska koyee putra nahi thha. Usnay ek bar Bhagwan Bitdhal say mannoytee kee ki yadee

usay putra huaaow to , wah Bhagwan Bitdhal ko sonay kee karghanee ( kamar may pahnay

wala pattaw) pahnayagaa. Bhagwan Bitdhal kay kirpa say usay putrow huwaa. woh khusi

say phula na samaya  aur bhaga-bhaga Narhari sunar kay pass sona laykar pahucha aur bolaw

Narhari ji Bhagwan Bitdhal nay parsan hokar muchay putra pardan kiya hai. Attah manotee

 kay anusar aaj mai Bhagwan Bitdhal ko Ratanjarit sonay kee Karghanee pahnana chahata hu.

Pandharpur may  aapkay aalwa  es parkar ke karghanee aur koyee nahi banawa sakta hai.

Isliyay aap yah sona lakar Pandharpur Mandir may chalkar Bhagwan Bitdhal kay kamar ka

maap lay aayeay aur jaldi say Karghnee tyaar kar dijiay.

Bhagwan Bitdhal ka naam sun kar Narhari ji Bolay, - Bhiyya , may Sivji kay alawa kisee anay

Devta kay mandir may parvesh nahi karta. Isliya  aap kisee dusray sunar say Karghnee tayaar

karalay. Lakin Sahukar bola, - Narhari ji aap kay jaysa sunar puray Pandharpur may nahi hai.

Isliya may Karghanee to aap say hi banouga. Yadi aap mandir nahi jana chahtay hai, to dheek

hai , may khud Bhagwan Bitdhal kay kamar ka map la detaw hu. Narhari ji nay majburee may

isay siwkar kar liya. Shaukar nay kamar ka map lay aaya aur Narhari ji nay us nap ka Karghanee

banaw diya. Shaukar us Karghanee ko laykar Bhagwan Bidhal ko pahnay mandir gaya. Jab

pujari ji wah Karghanee Bhagwan Bitdhal ko pahnanay lagay, to wah kamar say char angul 

barri ho gayee. Shaukar Karghanee laykar wapas Narhari ji kay pass lowtta aur us karghanee ko 

chota karwa liya,. Jab wah punah karghanee laykar mandir pahucha aur pujari nay wah karghnee

Bhagwan Bitdhal ko pahnani chahi , to abkeebar wah char angul chotee niklee.

Narhari ji karghanee fir baree kee, to wah char angul badh gayee.Fir chotee kee to wah char angul

kam ho gayee. Aisaya char bar hu to pujari ji nay Shaukar ko kaha kee Narhari ji khud kamar

ka maap lay layto achaa hogya.  Shaukar kay adhik anunay vinay karnay par Narhari ji barri 

muskil say Bhagwan Bitdhal kay mandir may jakar maap lanay ko tayyar huai.Kintu kahi unahay

Bhagwan Bitdhal ka darsan na how jayay, yah sochkar unohnay Shaukar kay samnay yah sart

rakhee ke mandir may ghusnay say pahlay may aapnee aakhow par pattee baandh lunga., aur

hathow say tatowlkar unkay kamar ka maap lunga. Shaukar nay Narhari kee baat maan lee. 

Narhari ji nay aakhow may pattee baandh lee, Shaukar nay inahay mandir kay ander lay

aaya aur Bhagwan Bitdhal kay samnay kharawa kar diya. Jab Narhari ji nay maap lanay kay leeay

murtiee ko tatowlna suru kiya, to unahay laga kee sapow kay aabhusan pahnay huai. mastak 

par jataaur usmay say parwahit ho rahi maa Ganga walay Shankar  Bhagwan kee murtee to aspars

kar rahai hai..Narhari ji nay socha , kahi Shaukar mujsay majak kar nay kay liyayBhagwan kay

mandir kay jagah kahee Sivalaya may to nahi lay aaya. Yah sochkar unohnay aapnee akhoo kee 

patti ko khole dee. Aakh khol kar deykha to samnay Bhagwan Bitdhal hi thai.Harbaratay huai 

unohnay turant aapnee aakhoo kee patti ko dekh kar lee, fir say murtee kay kamar kay maap laynay 

lagayai. lakin fir say unahey Bhagwan Siv ka hee abhas huua. Jaisay hi pattee fir say hataee to 

samnay Bhagwan Bitdhal ka hasta hua chaihra samnay thha. 

Jab aisa teen bar huaa to Narhari ji asmanjs may par gayay. . Inahay samjh may aa gyaa kee Siv

aur Bitdhal Bhagwan alag-alag nahi hai. Jo Shankar hai. wayhi Bitdhal hai. Wah hi Shankar

hai. Aab to unohnay jaht say aapnee agyan kee patee utar kar faikee aur jhama magtay huai

Bhagwan Bitdhal kay sree charnow may gir paray aur subak subak kar rotay huai kahnay 

lagay hey Jagdish, may aapkee saran may aaya hu, May Sivji may aur aapmay antar karta

thha.Isliya mujh naradham nay aajtak aapkay darsan tak na kiyay. Aaj aap nay meray maan

ka aghwan aur andhkar dur kar diya, kirpya aapnay iss apradhi ko jhamma kar dijiyaay.

Narhari ji  kee is sarltaa par Bhagwan Bitdhal ji rijhh gayay aur unohnay parsan ho kar Narhari

kay eestdev Sivji ko samman detay huay aapnay sis par Sivling ko dharan kar liya. Bhagwan ko 

ees rup may dekhkar Narhari ji bhowbihal ho gayay aur unohonay Bhagwan ka kamar ka maap 

laykar fir say karghanee banaee. Jo ees bar Bhagwan Bitdhal ko kamar may dheek huwa.Uskay

baad say Narhari ji Bhagwan Bitdhal ko Siv ji ka hi rup mankar jindgi bhar unkay naam ka 

sankirtan kartay rahay. Aaj bhi aapnay sar par Sivling dharan kiyay PANDHARPUR  kay

BITDHAL BHAGWAN kay darsan kar bhaktjano ko NARHARI sunar kee is katha kee barbas yaad 

aa jatee hai.



Comments

Popular posts from this blog

HINDI KAHANI- DUDH KA DUDH AUR PANI KA PANI

Ak gaown may ak dudh bachnay wali gawlin rahti thee. Uskay pass 2 bahsay thee.roj wah dudh bachnay sahar jatee thee.rastay may ak talab parta tha. Ak din uskay man may lalach aaya usnay tlab say 2 liter pani dudh may mila diya .  Aur dudh ko sahar ja kar baich aayee. Ees tarah uska jayda fayda hua. Ees tarah woe roj hi karnay lagee.1 mahenay bad usko sabhi nay dudh ka paysa diya. Us paysa ko potli may bandh kar aapnay gaow eedher llot rahi thee. Rastay may talab mila waha par woe apni potlee ko rakh kar apna muh donay lagee. Utnay may ek bandar aaya aur uska potlee lakar piar par çahar gaya aur waha say potlee ko kholkar usmay say rupeya ko giranay laga. Kuch rupeea pani may gaya aur kuch rupeea jamin par gira. Jisay gwlin  nay udhaliya.wahi par baiday huway ek sadhu sab dekh raha thaa. Usnay gowalin ko kaha tumahar hak ka paisa tumahay mil gaya aur pani ka paisa pani may gaya. Easay hi kahtay dudh ka dudh aur pani ka pani.

NIMBU SAY DHEEK HOTA HAI PATHEREE(STONE)

               KISI bhee manush ko patheree honay say bahut hi parasani aur dard hota hai. Patheree jeetna hi barra hoga wah utna hi dard deaga. Samay kay sath yah badtta hi jata hai aur dard bhi aadhik hota hai.  Agar hum eeskay suruat may hi kuch upay karay to yah deek ho sakta hai. Aaisay to patherri ka ilaj hamaray medical science may hai. jo kee sarjari ka hai . Jismay paisa aadhik lagta hai. PATHREE deek karnay kay liya sabsay aacha prakartik illaj hai kee aap adhik say adhik pani peeay. Issay aap ko adhik say adhik urine aaiygee jissay kee patheree nickal saktee hai . Isskay allawa aap nimlikhit upay bhi kar saktay hai. 4 chamach nimbu ka ras lay aur 4 chamach olive oil lay , Dono ko milay kar usay deen may kam say kam 3 bar jarur  pee lay.. . Yah parkiriya lagatar kam say kam 3 deen tak karay . NIMBU kay andar milnay walay cietric acid PATHREE ko galaa dayta hai. aur usay wah sareer kay bhar urine kay madhym say nikal deyta hai. ISS parkiriya kay dowra